Namz k Sahi tarika

 Niyat karo dil mein ke kaunsi namaz padh rahe ho mu mo kar ke Allahu Akbar keh kar takbeer e tahreema lo dono haath kaan tak uthao aur chhor do seene par haath baandh lo daaye haath ko baaye haath par rakh lo phir dua e istiftah padho phir Surah Fatiha padho phir koi doosri Surah ya kuch aayatein Quran ki padho phir Allahu Akbar keh kar ruku mein jao dono haath ghutnon par rakho peeth seedhi karo aur subhana rabbiyal azeem teen martaba padho phir sami allahu liman hamidah keh kar uth jao aur rabbana lakal hamd padho phir Allahu Akbar keh kar sajdah mein jao dono haath ghutnon ke paas rakh kar peshani aur naak zameen par lagao aur subhana rabbiyal aala teen martaba padho phir Allahu Akbar keh kar baith jao jise jalsa kehte hain phir doosra sajdah karo subhana rabbiyal aala teen martaba padho phir Allahu Akbar keh kar doosri rakat ke liye uth jao usmein bhi wahi amal dohrayo jaise pehli rakat mein kiya tha lekin doosri rakat ke aakhir mein do sajde kar ke Allahu Akbar keh kar baith jao jise qaida ya tashahhud kehte hain aur at tahiyat padho agar do rakat ki namaz hai to uske baad durood e Ibrahimi padho aur koi masnoon dua padho phir assalamu alaikum wa rahmatullah keh kar pehle daayein aur phir baayein taraf salaam phairo to namaz mukammal ho gayi agar chaar rakat ki namaz hai to do rakat ke baad sirf at tahiyat padho phir Allahu Akbar keh kar khade ho jao aur baaki do rakat waisa hi padho jaise pehli do rakat padi thi phir aakhir mein tashahhud durood aur dua padho phir dono taraf salaam phairo namaz mukammal



Comments